pineapple cake recipe main photo

How to Make Tasty Pineapple Cake

Posted on

Pineapple Cake.

Pineapple Cake You can cook Pineapple Cake using 7 ingredients and 11 steps. Here is how you achieve that.

Ingredients of Pineapple Cake

  1. You need 4 of eggs.
  2. Prepare 1 cup of Plain Flour.
  3. You need 1 cup of Powdered Sugar.
  4. It’s 1 tsp of Baking Powder.
  5. You need 1/4 tsp of Vanilla Essence.
  6. It’s 1 cup of Non dairy Wipping Cream.
  7. Prepare 1 of Pineapple Tin.

Pineapple Cake instructions

  1. Sab sy pehly ek baray sy pateely mein salt ki ek layer laga kar koi b jaali ka stand rakh kar usay medium to slow flame par pre heat honay ke liye dakan dy ke rakh dain 15-20 minute ke liye jtni dair mein batter tyar ho jaye ga..
  2. Ek bowl mein andy ki safaidi aur ek mein zardi alag alag kar ke daal lain..
  3. Safaidi ko beater sy itnaa beat karein ke wo fluffy ho jaye cream ki tarah..
  4. Ab zardi ko beat karein aur thora thora kar ke is mein sugar add krty jayen aur sath sath beat krtay jayen aur achi tarah mix kar lain..
  5. Ab zardi walay batter ko safaidi walay batter mein add kar dain..aur slow speed py itna beat karein ke dono achay sy mix ho jayen. Sath he vanilla essence b add kar dain..
  6. Ab maida walay bowl mein baking powder add karein dono ko achi tarah mix karein. Ab thora thora maida batter mein daalty jayen sath he spatula sy halkay hath sy folding krty jayen.beater use nahi krna wrna cake spongy ni banay ga aur baith jaye ga..
  7. Cake bananay walay pan ko oil sy grease kar ke butter paper laga dain. Is mein yeh batter daal dain..aur thora sa tap karein ta ke air bubbles nikal jayen. Ab isko pre heated pteely mein 40-45 minutes ke liye low flame py bake honay ke liye rakh dain..sponge ready hai..
  8. Wipping cream ko itna beat karein ke jab ap usky bowl ko upside down karein to cream giray nah. Ap chahen to is mein koi b colour add kar skti hain..
  9. Cake ko centr sy cut kar ke do layers mein divide kar dain. Pineapple tin mein jo syrup hota ha us sy in dono layers ko soak kar lain achi tarah..
  10. Ab ek ek layer lain, usky ooper wipped cream spread karein aur ooper pineapple chunks rakh dain.isi tarah phr doosri layer rakhen isky ooper achi tarah whipped cream lgayen aur apni marzi sy isko decorate kar lain..
  11. Yummy Spongy and creamy Pineapple Cake is ready to serve..
See also  Recipe: Delicious Dairy and Egg-Free Macrobiotic Banana Cake

recipe by Urooba Farman @cookpad

Share this post: